Thursday, May 8, 2008

Kam hai

Aa bhi jaao ke Zindagi kam hai,
Tum nahi ho to har khushi kam hai...

Vaada karke bhi yeh kaun nahi aaya,
Is sheher mein aaj roshni kam hai...

jaane kya ho gaya hai mausam ko,
dhoop zyada hai, chandni kam hai...

Aaina dekhkar yeh khayal aaya,
Tumse naa milne par taazgi kam hai...

Jaane kyun fizao ne rukh badal diya,
Aaj-kal unki dosti kam hai...

Tumhare dar par hum intezaar mein hai,
khuda ke ghar mein aaj bandagi kam hai...

yaad rakhna mujhe "benaam" hi sahi,
Pehchaan ke liye saari Zindagi kam hai...

- Priyank "Benaam" Shah

4 comments:

Anonymous said...

Mr.. Benaam yadi yuhi senti poems likh kar dedicate karte rahe to shayad bahut hi Naam wale ho jaaoge..
BTW yeh saari poems kis ke liye????????

Priyank said...

Kucch apne liye, kucch apni tanhayi ke liye,
kucch wafa ke liye, kucch ruswaai ke liye,
yeh shabd nahi yeh kucch kuchli se tammannaye hai,
kucch mere liye, kucch meri parchhayi ke liye...

Unknown said...

This 1 is beautifully written!!!!
I rate this ur best priyank...
but the message gets captured just perfectly in this one...

Anonymous said...

Good one sirjee, i prefer english poems to hindi ones..kya kare matrubhasha thodi kamzor hai...but i really liked this one...well written!!!