Wednesday, May 14, 2008

Aur koi chah nahi

Ek shama se nayi nayi dosti hui hai,
Aur us shama ki khushi ki khatir,
Suraj ko aaj bujhana hai,
Aur koi chah nahi...

Unke makhmali dupatte ko aaj dekha,
Aur us duppate ki ronak badhaane,
Kucch taaro ko tod laana hai,
Aur koi chah nahi...

Unko pasand hai phoolo ki mehfil,
kaliyo se unka chehra khilta hai isliye,
Patjhad me phoolo ko ugana hai,
Aur koi chah nahi...

Sehra ki reth par woh nikle hai sair karne,
Jal na jaaye kadam unke iska darr hai hume,
Bas sehra me samundar laana hai,
Aur koi chah nahi...

Unke liye bahut zaruri hai pyar ko saabit karna,
Apne pyar ka ehsaas unko karaana hai,
Bas kucch taj mahal sa banana hai,
Au koi chah nahi...

Hume dekhte hi woh kucch simat se jaate hai,
Shayad unhe taqleef hai humari shaksiyat se,
Isiliye "Benaam" ban jaana hai,
Aur koi chah nahi...

- Priyank "Benaam" Shah

2 comments:

Anonymous said...

hmm well a good try by u Priyank all again..
But some how i did not find peom in rythm...
specially last line i.e. "aur koi chaha nahi"

ny ways keep trying..
:)

Sonali said...

This is amazing Priyank :) Loved it