Thursday, May 8, 2008

Aaina

Aaina

aaine mein yeh chehra, aaj-kal kyun alag sa dikhta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...
kitni hi kaatil sadiyon se, dil ki dharti mein thi pyaas,
pyar naa mila to aansu bhi, isko saawan sa lagta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...
Pehle to chamak uthta tha, yeh aaina meri surat dekh,
Ab na jaane mera chehra dekh, kyun is se dard jhalakta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...
Is kadar is zamaane mein, har dar pe dil ye toot gaya,
Aaine ko bhi chune se, ab to yeh mann darta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...
Pehle haal-e-dil ki mere, kehta tha kahaani yeh aaina,
ab bhi to dil ka haal hi, yeh aaina chupke se kehta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...
ek daur tha jab phoolon se, hum aaine ko sajaaya karte the,
Ab aaine mein humari tasveer ko, roz koi haar chadhta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...
Jis aaine mein apni pehchaan, mein dhoondhta tha kabhi,
ab wohi aaina mujhko,'Benaam' pukaarta rehta hai,
kyun apni hi shaksiyat se, mujhe ab darr sa lagta hai...

- Priyank "Benaam" Shah

No comments: