Kyon hum zindagi se, zindagi humse naraaz hoti hai?
Kyon khushiyon ke beech bhi aankhen udaas hoti hai?
Inki baaho mein to samundar leta hai angdaai,
Phir kyun kinaaro mein sadiyon ki pyaas hoti hai?
Juda hai humari raahein yeh hum bhi jaante hai,
Phir kyun har aahat tumhare aane ka ehsaas hoti hai?
Chaand sitare paana to hum bhi chahte hai,
Roshni kyun sirf unke hi aas-paas hoti hai?
Humko to yeh saara aalam jaanta tha kabhi,
Kyon aaine mein ab shaksiyat ki talaash hoti hai?
Yeh bahaare, yeh mehfil kyon chhod chale hai hum?
Kyon ab hume bas tanhaayi hi raas hoti hai?
In aankhon mein kisi ka intezaar rehta tha kabhi,
Kyon ab ashk ki chand boonde hi paas hoti hai?
Hum to chahkar bhi nahi mitaa sakte khud ko,
Tumhari dhadkano se judi kyun meri saans hoti hai?
Ab to saanson ne bhi unke aane ki umeed chhod di,
"Benaam" ko kyon ab bhi unke aane ki aas hoti hai?
- Priyank "Benaam" Shah
No comments:
Post a Comment