Showing posts with label Poems. Show all posts
Showing posts with label Poems. Show all posts

Thursday, May 29, 2008

Aankhon me jab aansu chalakne lagte,
aankhon se nikalne jab wah tadapne lagte,
tab un aansu ke moti ko bachane ke liye,
Aankhon me unko chhupane ke liye,
Apne dil ko zara sa behla leta tha,
kabhi kabhi zara sa muskura leta tha...

Jab ghum dil me badh jaata tha,
aur chehre pe chupke se aa jaata tha,
tab us ghum ko dil me dabaane ke liye,
mehfil me chehra chhupane ke liye,
Ghum ko apna dost bana leta tha,
kabhi kabhi zara sa muskura leta tha...

Dil me jab dard sa uthne lagta tha,
roshni se saath jab chhutne lagta tha,
tab andhere ko durr hatane ke liye,
roshni ko kareeb laane ke liye,
Dard ki lau ko hi jalaa leta tha,
kabhi kabhi zara sa muskura leta tha...

Ab na dard hai na tanhayi hai,
na roshni hai, na parchhayi hai,
aansu ya ghum ka khazana nahi,
isliye muskurane ka bahana nahi,
tabhi to hum sanjida rehne lage,
aur yeh dekh log bhi kehne lage,
kya khushi se iska koi naata nahi hai?
kyun "benaam" aajkal muskurata nahi hai?

Wednesday, May 14, 2008

Aur koi chah nahi

Ek shama se nayi nayi dosti hui hai,
Aur us shama ki khushi ki khatir,
Suraj ko aaj bujhana hai,
Aur koi chah nahi...

Unke makhmali dupatte ko aaj dekha,
Aur us duppate ki ronak badhaane,
Kucch taaro ko tod laana hai,
Aur koi chah nahi...

Unko pasand hai phoolo ki mehfil,
kaliyo se unka chehra khilta hai isliye,
Patjhad me phoolo ko ugana hai,
Aur koi chah nahi...

Sehra ki reth par woh nikle hai sair karne,
Jal na jaaye kadam unke iska darr hai hume,
Bas sehra me samundar laana hai,
Aur koi chah nahi...

Unke liye bahut zaruri hai pyar ko saabit karna,
Apne pyar ka ehsaas unko karaana hai,
Bas kucch taj mahal sa banana hai,
Au koi chah nahi...

Hume dekhte hi woh kucch simat se jaate hai,
Shayad unhe taqleef hai humari shaksiyat se,
Isiliye "Benaam" ban jaana hai,
Aur koi chah nahi...

- Priyank "Benaam" Shah

Tuesday, May 13, 2008

kaun hai jo mere saare dard bhula deta hai,
aur phir wohi naye dard jaga deta hai...

deta hai kasme humko ghum na karne ki,
aur yaado me aakar phir khud hi rula deta hai,

Jab bhi pucchte hai kya rishta hai humara,
sharmake pyar ka ek rishta sa jata deta hai,

hume kehta hai zamaane se chhupane ko pyar,
aur phir khud hi saare zamane ko suna deta hai,

pehle to karta hai sapno me aane ke waade,
phir khud hi raato me neend se jaga deta hai,

saamne ho to humse khafa ho jaata hai,
tanhayi me humare liye woh dua karta hai,

yun to mera naam har pal rehta hai uke lab par,
koi aur pucche to mujhe "Benaam" bata deta hai...

-Priyank "Benaam" Shah

Saturday, May 10, 2008

Ab mumkin nahi hai tumko bhulana

Hey, I was just sitting idle at home n thought I of scribbling something. I just tred to pen down (or rather type down) a complete journey of first love but as most of my other poems are, this one ends in a heartbreak too... Can't help it, thats how I write.

I have not put in much efforts in writing this one as words just kept on flowing, its just a feeling that you know perfectly. So, you can pen it down easily. So, here's the work...


Faagun ki dhup si meri zindagi me,
woh pehla saawan bankar tumhara aana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh pehli nazar me mohabbat ka ehsaas,
woh tera nazakat se palke jhukana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh bedhadak duniya jitne ka tumhara andaz,
Woh tumse milne par mera sharmana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh khamosh rehkar mera tumko dekhte rehna,
Woh ghanto tak tumhara mujhse batiyana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh shaam ko akele milne ke waade,
aur waade karke tumhara bhul jaana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh aahista se meri kareeb aane ki koshish,
woh kaliyon ki tarah tumhara simat jaana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh raato ko dekhna tumhare sapne,
aur kucch aahat si mehsoos karke uth jaana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh dosto se ghanto baatein karna tumhari,
Woh tumhare aane par khamosh ho jaana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh tumse karna rukne ki minnate,
woh tumhara majboor hokar jaana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh muskurakar tumko kehna alvida,
phir raato ko aansu se takiye bhigana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh tumhara mujhse milo dur hona,
woh phir mera tumko paas hi paana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh phone na aane par tumpe gussa hona mera,
Aur tumhari aawaz sunte hi mera pighal jaana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh tumhara mujhko yaad na karna,
Aur mera raatien intezaar me bitana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Woh achanak se aapka raah me mil jaana,
Apne dosto ko aapka mujhe "benaam" batana,
Ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

Na shikva hai koi, na shikayat hai koi,
manzoor hai zindagi hume tanha bitana,
Par ab mumkin nahi hai tumko bhulana...

- Priyank "Benaam" Shah

Tuesday, May 6, 2008

Dard bhari mehfil

:( Is dard bhari mehfil mein, kyun bolta koi nahin,
Mein aise raste par hoon, jahaa aata koi nahin,
Ruku to manzilen hi manzilen, chalu to raasta koi nahin,
Duniya ki pehchaan hai mujhe, mujhe pehchaanta koi nahin,
Sitam guzre hai 'Benaam' par, mujhe sataata koi nahin,
zakhm khaane ki aadat si ho gayi hai, Zakhm dikhaata koi nahin...